Gumnaam Lyrics — Nazz

SongGumnaam
ArtistNazz
AlbumBathroom Singer EP
Written byNazz
Produced byAudiocrackerr
Song Details

Gumnaam Nazz Lyrics

Gumnaam rahon pe bhatke musafir sa
Badhta hua aage chalun
Andheri raaton mein tutey sitaro sey
Aksar mein baatein karun

Shikaytein hain kal ki aaj se
Kyu nhi hoti hain galtiyan aapse
Jeene ki wajah bhi aap thay
Phir gaye hum marr bhi aap pe
Aisa lagey jaise kal ki baat hain
Kaash laut ke woh pal bhi aa sake
Hum dono ek rajai mein lipte reh
Aur bus yeh sardiyan katey
Jhoka teri saanson ka aur
Doobti saari meri kashtiyan chale
Hamesha tere dil ke daftar ke bahar
Hum rehte leke arziyan khade
Tere liye besabariyan pade
Mujh par teri marziyan chaley
Jaadu aisa tuney kar diya ke mein
Jaanu mein jaanu mein na

Gumnaam rahon pe bhatke musafir sa
Badhta hua aage chalun
Andheri raaton mein tutey sitaro sey
Aksar mein baatein karun

Gumnaam rahon pe bhatke musafir sa
Badhta hua aage chalun
Andheri raaton mein tutey sitaro sey
Aksar mein baatein karun

Haa mujhpe haq hain tera
Banta hai tera naraz hona
Mere pyar ko tol sake is
Duniya mein aisa tarazu na
Hum tere khayalon mein baithe
Toh kya hai raat aur kya subah
Tanhayi se rishta bana
Khud ko mein talashu na

Sapno mein aake woh rehti mere saath mein
Tabhi toh mein neend se jaagu na
Baitha teri yaad mein
Ghumoo teri baaton mein
Khud pe bhi mujhko hai kaabu na
Galti hazar kari maine mana par
Aise dil tod ke naa tu jaa
Kara tuney kabu yeh kaisa mujhpe
Mera patthar dil bana naazuk sa

Gumnaam rahon pe bhatke musafir sa
Badhta hua aage chalun
Andheri raaton mein tutey sitaro sey
Aksar mein baatein karun

Gumnaam rahon pe bhatke musafir sa
Badhta hua aage chalun
Andheri raaton mein tutey sitaro sey
Aksar mein baatein karun

Share your love