Song | Kyun |
Artist | Asim Azhar |
Album | BEMATLAB |
Written by | Asim Azhar |
Produced by | Asim Azhar |
Kyun Asim Azhar Lyrics
Likha ashiqi ka maine falsafa you’n
Jaane anjaane mai kar chali dagha kyun
Teri khata tou kaatoo’n mai saza kyun
Huwe raaho’n mai najaane lapata kyun
Deti muhabbat na sila koi
Sitam khud de ke hai khafa koi
Wafa bhi kar ke hai bura koi
Aisa bhi karta hai bhala koi
Choro na karta main khayali baaten
Laata na rishto mai purani batein
Bana ishq ki misaal koi
Aur bana ishq pe sawal koi
Din bhi mere kat’te nahi hain
Raato mai chamak hi nahi hai
Aise pehle hargiz tha nahi
Jaane wo bhi kya kya keh gaye
Tarhpe roye par hum seh gaye
Aise pehle hargiz tha nahi
Kyun tum waade kar ke behke
Kyun hum aas mai thay baithe
Par tum behte huwe paani ban gaye
Hum jo na gawara tumhe
Laut ke na aana mere
Gham ka ik fasana ban gaye
Jaate jaate bas sunle ik sada
Jaane de ab thi kis ki kya khata
Dil se karna tha tera shukriya
Dard e dil jo mai likhun tu wajah
Likha ashiqi ka maine falsafa you’n
Paas hote huwe bana faasla kyun
Rab jaane koi hal na mila kyun
Karti mujhse kia ghairo’n se gila kyun
Din bhi mere kat’te nahi hain
Raato mai chamak hi nahi hai
Aise pehle hargiz tha nahi
Jaane wo bhi kya kya keh gaye
Tarhpe roye par hum seh gaye
Aise pehle hargiz tha nahi
Kyun tum waade kar ke behke
Kyun hum aas mai thay baithe
Par tum behte huwe paani ban gaye
Hum jo na gawara tumhe
Laut ke na aana mere
Gham ka ik fasana ban gaye
Likha ashiqi ka maine falsafa you’n
Paas hote huwe bana faasla kyun
Rab jaane koi hal na mila kyun
Karti mujhse kia ghairo’n se gila kyun
Kyun tum waade kar ke behke
Kyun hum aas mai thay baithe
Par tum behte huwe paani ban gaye