Song | Ram Ravan |
Artist | Raanjha |
Album | Ram Ravan (Single) |
Written by | Raanjha |
Produced by | Raanjha |
Ram Ravan Raanjha Lyrics
RAP 1 (Ravan):
Kaun hai jo saamna haan mera kar sake
Kitne aaye pehle aur kitne hi mar chuke
Kaid rakhta navgrah ko mutthi mein meri
Bigaad doon bhavishya tera jab bhi mann kare
Trilok jeet ke hoon baitha main
Trilok jeet ke hoon aintha main
Har disha mein rakhta bhay bana ke
Trilokpati hoon iklauta main
Jo deta chunauti yuddh ki mujhe
Use mrityu hi bas deta main
Jis par bhi rakh doon drishti meri
Use haasil karke rehta main
Main Svarn Lanka ka aadhpati
Tu dar-dar bhatke vanvaasi
Kyun kar raha saamarthya yuddh ka
Kya mrityu ka tu abhilashi
Ja bhool ja ab Sita ko svayam tu
Main chahoon jab tera vadh kar doon
Mera paraakram Brahma bhi jaane
Main krodh mein Surya ko bhasm kar doon
RAP 2 (Ram):
Arey o Lanka-pati teri mari mati
Tu jo ahankaar mein bana hathi
Aur kudrishti daali parnaari pe
Paap ke ghade tere bhare sabhi
Beshak hai balvaani tu
Aur Ved Puraanon ka gyaani tu
Par gyaan bhi woh poora vyarth
Jismein tu bhool baitha maryada hi
Are itna na tu jaan paaya
Teri mrityu ko tu svayam laaya
Jis shakti pe hai tu karta ghamand
Tere ghamand ko main todne aaya
Teri Lanka pe ab kaal chaaya
Tere kaam na aaye koi teri maaya
Tere har mukh pe ab saaf dikhe
Teri aankhon mein jo bhay samaya
Hey Dashaanan tere das aanan
Main kaat karoonga yeh bhu paavan
Teri mrityu banke aaya hai
Yeh vanvaasi ek saadharan
Tere karmon ka hisaab hoga
Tere kul ka ab vinaash hoga
Jab niklega mere chaap se baan
To dhad se alag sir aaj hoga
RAP 3 (Ravan):
Jo jhuk jaaye Ram woh Ravan nahi
Koi shatru main tera saadharan nahi
Shiv Shakti sang Kailaash uthaya
Vaikunth mein dare Narayan bhi
Jo maar de mujhe woh janma nahi
Hey vanvaasi tere bas ka nahi
Jab chalta haathi matwaala
Keedon par gaur woh karta nahi
Mahakaal ka hoon main param bhakt
Yeh sheesh kaat unhein arpan kar diye
Tu kya jaane saamne mere
Devendra ne bhi shastra rakh diye
Mere jeevan daan se jeete
Grah Nakshatra Devta bhi
Aur naam mera na mita sakega
Treta Dwapar Kaliyug bhi
Tere swaans poorn hue jeevan ke
Jo ladne aa gaya Ravan se
Yeh vanar bhaalu bechaare
Ab marenge sab bin kaaran ke
Narayan ke bhi na paas mile
Woh astra main rakhta tarkash mein
Tu Lanka ki bhoomi par aaya
Par jaa nahi paayega bachkar ke
RAP 4 (Ram):
Maine avsar tujhko de diye bahut
Teri mrityu ka ab tujhpe hi dosh
Yeh dharti bhi na utha paaye ab
Paapi tere paap ka bojh
Mere baanon mein teri maut dekh
Tere netron mein tu khauf dekh
Jo bali tune dedi Lanka ki
Marte tu ab tere log dekh
Ab kar le tu chahe jitne jatan
Tu bacha na paaye tere kul ka patan
Shamshan banegi yeh bhu Lanka ki
Chaaro aur hoga sirf rudan
Laashon ke laakhon dher honge
Ab din bhi yahaan andher honge
Is Ram ki dekhi karuna sabne
Krodh bhi yahaan ab sab dekhenge
Mahadev ka banta param bhakt
Mahadev bhi na teri karenge raksha
Naabhi mein jo amrit teri
Woh bhi na jeevan ab de sakta
Jo aaj yeh ho raha hai sarvnaash
Tera ahankaar hi iska kaaran
Dharm aur paap ka yuddh hai yeh
Teri mrityu se hoga tere kul ka taaran