Song | STILL THE SAME |
Artist | King & Abhijay Sharma |
Album | MM |
Written by | King & Abhijay Sharma |
Produced by | Abhijay Sharma |
STILL THE SAME King Lyrics
[Intro: King]
Yeah
[Verse 1: King]
Zindagi ke do raste hain
Pehle pe tu, doosre pe hum
Jo main nahi aa sakta wahan
Tu aake yahan karde baatein khatm
Kandhon pe do baiste hain
Pehle mein gham, dooje mein rakam
Dono hi bhare pade
Tu bata kaunsa uthake tu keh degi “mere sanam”
Mere sanam, waqt hai kam
Do maare show, khoka rakam
Zindagi hai tez, kaand-karam
Dono hi galat, kya hisaab tu mujhse karaayegi
Main kehta raha, koi na mila
Jo samjhe dil mein hai kya dard chhupa
Marz pata lag jaayega to dawa apne aap mil jaayegi
Tu sataayegi aur rulaayegi
Aisi jeet bhi kya hi paayegi
Na bataayegi jab hum poochenge
[Chorus: Abhijay Sharma]
Kyon rishte chhuda ke ye man mera bhaage?
Tum aake kabhi gale se lag jao na
Sir pe mere haath rakh jao na
Ki zindagi khafa hai to toote hum saare
Tum aake kabhi baat kar jao na
Din mein meri raat kar jao na
[Verse 2: King]
Main rota to wo hanste hain
Lahza hai sakht na aa rahi sharam
Maine paas se apnon ko dekha to sab the paraaye
Ghalib dekh ke aa gayi sharam
Aankhein bhi band kar sakte hain
Par kyon karein hum jo nahi ye bharam
Sach aur hota dilkash jab nai zindagi leke chal padte tere sang
Saare leke tere gham
Main hawa mein uda deta saare tere rang
Main paison ki kashti banake duba deta sab
Aur hata deta jo na ho pasand
I mean, its fine, think less
Smoke some, don’t stress
In this world we exist
Making memories we don’t expect
Cheers
[Chorus: Abhijay Sharma]
Kyon rishte chhuda ke ye man mera bhaage?
Tum aake kabhi gale se lag jao na
Sir pe mere haath rakh jao na
Ki zindagi khafa hai to toote hum saare
Tum aake kabhi baat kar jao na
Din mein meri raat kar jao na